Samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai
tere mehendi lage hatho me jab hudi khanakti hai
toh iss gori kalayi me yeh dil banke dhadakti hai
yeh chudi aashiko ko pyar ke nagme sunati hai
suhani rat ki khamoshiyo me hir gati hai
yeh chudi hir gati hai
jamin par jo utar aaya yeh woh jannat kaa nagma hai
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai
mere mehbub jaisa iss jamane me nahi koyi
diya leke bhi dhundo toh nahi aisa hasi koyi
kabhi tute se tute naa hamare pyar ki dori
teree chahat bhi bas mere liye anmol hai gori
badi anmol hai gori
juda ham tum nahi honge humara tumse wada hai
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai